Sahi time pe milo
Boarding ke turant baad TTE busy hota hai. Pehle station ke baad, jab no-show clear ho jaye, tab milna sabse achha hai.
Train number daalo aur dekho abhi train kis station par hai, kitni late hai aur aapke station kab pahunchegi.
10-digit PNR daalo — current status, coach-berth aur confirm hone ka chance ek saath.
RAC number, kitne din bache hain aur train batao — hum batayenge seat confirm hone ka kitna chance hai.
Platform par bhaag-daud khatam. Train number aur station daalo, apna coach pehle se jaano.
| # | Train | Route | Class | RAC confirm rate |
|---|
RAC yaani Reservation Against Cancellation. Ticket confirm nahi hua, par aap train mein travel kar sakte ho. Ek side lower berth doosre RAC passenger ke saath share karni hoti hai — matlab baithne ki seat pakki.
Haan bhai, bilkul. RAC valid ticket hai. Aadhi berth milti hai aur kisi ke cancel karne ya na aane par full berth mil sakti hai.
Haan. Chart ke baad agar koi confirmed passenger nahi aata (no-show), to TTE train mein hi RAC passengers ko berth allot kar deta hai. Isliye RAC 1–10 walon ka chance kaafi achha hota hai.
RAC par travel allowed hai. Waiting e-ticket chart ke baad bhi WL raha to auto-cancel ho jata hai aur paisa refund aata hai — WL e-ticket par travel allowed nahi.
Haan, train departure se pehle (rules ke hisaab se time limit ke andar) cancel ya TDR file karne par clerkage kaat kar refund milta hai. Latest rules IRCTC par check karein.
Boarding ke turant baad TTE busy hota hai. Pehle station ke baad, jab no-show clear ho jaye, tab milna sabse achha hai.
PNR, ID proof aur RAC number ek hi baar mein dikhao. Clear info dene wale ka kaam jaldi hota hai.
"Sir, koi berth khali ho to please bata dijiye" — politeness se TTE aapko yaad rakhta hai jab berth free ho.
Bade junction (jaise LKO, CNB) par log utarte hain. Puchho ki aage kahan berth khali hogi.
Upgrade ya extra charge ho to official receipt maango. Bina receipt cash dena galat hai — complain 139 par kar sakte ho.